duality

Is Zindagi ka,

ek sira zameen main hai,

ek aasman main,

ek sira sawaan main hai,

ek patjhadh main,

ek hai mastak ki gehraiyon main,

ek hai is chanchal dil main,

ek sira haqkeekat main hain,

ek sapnon ke nagar main,

ek adhron par khilkhilati muskan main hain,

ek bheegaye nainon main,

ek samundar ki gaehraiyon main hai,

ek tapte registan main,

ek maa ki kokh main hai,

ek sira thama hai kabr main !!!

-Kamayani Bali Mahabal

 

Enhanced by Zemanta